Shayari Two Lines In Hindi

5/5 - (1 vote)

….Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho “Faraz”

 

 

….Dost Hotaa Nahi Har Haath Milaane Vaalaa.

 


….Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaaye.

 

 

….Dushmano Ki Bhi Raay Li Jaaye.

 

✨ Shayari Two Lines In Hindi ✨,

….Badalte To Insaan Hai.

 

….Waqt To Bss Bahana Hai.

 


….Tu bhi ho main bhi hun ek jagah pe aur waqt bhi ho.

 

….Itni gunjaishen rakhti nahi duniya mere dost.

 

Shayari Two Lines In Hindi


….Zindagi Ne Ek Yahi Tazurba Diyaa Hai Mujhe SAHAB.

 

Khwaab

 

Umeed

 

Nasha

 

Saans

 

Tabsum

 

Aanshuu

 

Aur

 

Khwahish

 

….Tutne Wali Kisi Shaiy Pe Yahaan Bharosa Naa Karo.

 

✨ Shayari Two Lines In Hindi ✨,

….Ham Se Poochho Na Dosti Ka Sila.

 

….Dushmanon Ka Bhi Dil Hila Dega.

 


….zindagii youn bhii guzar hii jaatii.

 

….kyon teraa raah_guzar yaad aayaa.

Shayari Two Lines In Hindi


….tum mohabbat ko khel kahate ho.

 

….ham ne barbaad zindagii kar li.

 


….Apne asool youn bhi kabhi todne pade.

 

….Uss ki khata thi haath mujhe jodne pade.

 


….Aaya na jab qaraar dil-e-be’qaraar ko.

 

….Yaadoun ke rukh tumhari taraf modne pade.

 


….Unnko to meri yaad na aayi bhool kar.

 

….Apne paraye jinn ke liye mujhe chhodne pade.

 


….Wo shakhs khud bada be’asool tha.

 

….Apne asool jis ke liye mujhe todne pade.

Shayari Two Lines In Hindi


….Insan ko bolna seekhne me ek saal lagta hai.

 

par kon saa lafz kahan bolna hai ye seekhne ke liye poori zingadi lag jati hai.

 


….Main Bada Be-Adb Huun

Mujhe Mehfil Me Na Bulana Yaaro.

 

….Koii Gustakhi Ho Gayi

To Mujh Se Muaafi Na Maangi Jayegi.

 


….yaar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe.

 

….main samajhta tha mere yaar samajhte hain mujhe.

 

Shayari Two Lines In Hindi


….jad ukhadne se jhukaw hai meri shakhon mein.

 

….dur se log samar-bar samajhte hain mujhe.

 

✨ Shayari Two Lines In Hindi ✨,

….kya khabar kal yahin tabut mera ban jaye.

 

….aap jis takht ka haqdar samajhte hain mujhe.

 


….nek logon mein mujhe nek gina jata hai.

 

….aur gunahgar, gunahgar samajhte hain mujhe.

 


….main to khud bikne ko bazar mein aaya hua hun.

 

….aur dukan-dar kharidar samajhte hain mujhe.

 


….main badalte huwe haalat mein dhal jata hun.

 

….dekhne wale adakar samajhte hain mujhe.

Shayari Two Lines In Hindi


….wo jo us paar hain is paar mujhe jaante hain.

 

….ye jo is paar hain us paar samajhte hain mujhe.

 


….main to youn chup hun ki andar se bahut khali hun.

 

….aur ye log pur-asrar samajhte hain mujhe.

 


….raushni bant_ta hun sarhadon ke par bhi main.

 

….ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe.

 


….jurm ye hai ki in andhon mein hun aankhon wala.

 

….aur saza ye hai ki sardar samajhte hain mujhe.

Shayari Two Lines In Hindi


….lash ki tarah sar-e-aab hun main aur.

 

….Dubne wale madad-gar samajhte hain mujhe.

 

✨ Shayari Two Lines In Hindi ✨,

….ab baat dosti ki nahi hosle ki hai.

 

 

….lazim nahi ke tu bhi mera hamkhyal ho.